sadma har-chand tire jaur se jaañ par aayā
tis pe shikva na kabhī merī zabāñ par aayā
rāst-keshoñ kī tuf-e-āh se Dar ai sarkash
tiir phirtā nahīñ jis vaqt nishāñ par aayā
mausam-e-sheb meñ be-fā.eda hai la.ab-e-shabāb
kab samar deve hai jo naḳhl ḳhizāñ par aayā
dil-e-pur-ḳhūñ ko mire ġhuncha-e-tasvīr kī tarah
lab-e-vāshud na kabhī rāz-e-nihāñ par aayā
chashm-e-anjum pe nahīñ abr se vo roz-e-siyāh
jo mire dīda-e-ḳhūñ-nāb-chakāñ par aayā
raat ko dekh ke ai maah tujhe ġhair ke saath
ta.ana-zan dil kā mire gul ke katāñ par aayā
ho ke ustād dabistān-e-suḳhan meñ 'saudā'
sher ke qā.eda dānān-e-jahāñ par aayā