jo gul hai yaañ so us gul-e-ruḳhsār saath hai
kyā gul hai vo ki jis ke ye gulzār saath hai
to mast shab añdherī aur aġhyār saath hai
jo dil meñ aave kah ye gunahgār saath hai
ḳhāmosh andalīb-e-chaman tujh se kiyā hai bahs
apnā suḳhan to murġh-e-giraftār saath hai
paiġhām us nigah kā ki jis meñ hai bū-e-mehr
kyā jaane kis ke āḳhirī dīdār saath hai
uqda na ye khulā ki mire dil sā pahlavān
tujh zulf ke bañdhā huā ik taar saath hai
karte to ho mire maraz-e-dil kā tum ilaaj
yaaro jo dil yahī hai to āzār saath hai
'saudā' ke haath kyūñ-ke lage vo matā-e-husn
le nikleñ jis ko ghar se to bāzār saath hai