Sauda Mohammad Rafi

magar wo did ko aaya tha bagh mein gul ke

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
magar vo diid ko aayā thā baaġh meñ gul ke
ki bū kuchh aur maiñ paa.ī dimāġh meñ gul ke
adū bhī ho sabab-e-zindagī jo haq chāhe
nasīm-e-sub.h hai roġhan charāġh meñ gul ke
chaman khileñ haiñ pahuñch baada le ke ai saaqī
girafta-dil mujhe mat kar farāġh meñ gul ke
nahīñ hai jā-e-tarannum ye bostāñ ki nahīñ
sivā.e ḳhūn-e-jigar mai ayāġh meñ gul ke
alī kā naqsh-e-qadam DhūñDhtā hai yuuñ 'saudā'
phire hai bād-e-sahar juuñ surāġh meñ gul ke
Top Urdushayar.com