Sauda Mohammad Rafi

jis dam wo sanam sawar howe

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
jis dam vo sanam savār hove
tā-e-said-e-haram shikār hove
jo uTh na sake tirī galī se
rahne de ki tā-ġhubār hove
mohkam tū ravāq ban sake hai
go umr ki pā.edār hove
vo qasr to chāhtā nahīñ maiñ
jis meñ gul o gul-ezār hove
vus.at mire siine biich ai dahr
Tuk dil ko shagufta vaar hove
sozan kī na jaib kiijo minnat
yuuñ phaTiyo ki taar taar hove
shabnam se bhare hai sāġhar-e-gul
gardūñ to ḳharāb-o-ḳhvār hove
paanī nahīñ dete us ko zālim
jo zaḳhmī-e-be-shumār hove
nāseh tū qasam le ham se, dil par
apnā kabhū iḳhtiyār hove
khīñche hai koī bhī teġh pyāre
jamdhar ki jab āb-dār hove
kin zaḳhmoñ meñ zaḳhm hai ki jab tak
chhātī ke na vaar paar hove
khīñchī hai bhavāñ ne teġh mukh par
'saudā' se kaho nisār hove
vaise hī kaahe ye kaam gul-rū
āshiq hī na go hazār hove
Top Urdushayar.com