Sauda Mohammad Rafi

tujh ishq ke mariz ki tadbir shart hai

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
tujh ishq ke marīz kī tadbīr shart hai
lekin shifā ko gardish-e-taqdīr shart hai
saudā.ī dil ko zulf-e-girah-gīr shart hai
dīvāne ke ilaaj meñ zanjīr shart hai
naale to meñ bahut kiye us but ke sāmne
patthar ke narm karne ko tāsīr shart hai
ho ḳhaak rāh-e-ishq meñ tā-qadr ho tirī
mis ke tilā banāne ko iksīr shart hai
kaafī hai ik ishāra-e-abrū tirā hameñ
kuchh āshiqoñ ke qatl ko shamshīr shart hai
dil kī shikast-o-reḳht kī mere to le ḳhabar
har ghar kī der-pā.ī ko ta.amīr shart hai
kartā hai kis gunah pe uqūbat hameñ tū yaar
ta.azīr ke to vāste taqsīr shart hai
'saudā' maiñ is chaman meñ huuñ juuñ ġhuncha dil-giraft
mātam-sarā meñ sūrat-e-dil-gīr shart hai
Top Urdushayar.com