hastī ko tirī bas hai miyāñ gul kī ishārat
kaafī hai mire naale ko bulbul kī ishārat
fatvā talab ai yaar na qaazī se karūñ maiñ
tauba-shikanī ko hai mirī mul kī ishārat
mil baiTh merī āñkhoñ meñ hai sā.at-e-nek aaj
ye chashm tarāzū haiñ tire tul kī ishārat
hai bā.is-e-jam.iyyat-e-dil ek jahāñ kī
ai shoḳh pareshāni-e-kākul kī ishārat
taqvā ke nahīñ baar se qad ḳham tirā ai shaiḳh
ik ḳhalq meñ mash.hūr hai is pul kī ishārat
yaad aa.e tirī zulf na mujh ko jo chaman meñ
de taab mire dil ko na sumbul kī ishārat
ushshāq ko tujh chashm ke hājat nahīñ mai kī
behosh kare 'saudā' ko qulqul kī ishārat