Sauda Mohammad Rafi

jab nazar uski aan paDti hai

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
jab nazar us kī aan paḌtī hai
zindagī tab dhiyān paḌtī hai
jhel lete haiñ āshiq ai farhād
jis ke sar jaisī aan paḌtī hai
hai jafā se ġharaz use itnī
ki vafā imtihān paḌtī hai
nazar un mah-vishāñ kī hai zālim
kyā ġhazab ān-bān paḌtī hai
qadd-e-zāhid nazar meñ chille ba.ad
utrī sī kuchh kamān paḌtī hai
baat is dil ke dard kī yaaro
guftugū meñ nidān paḌtī hai
ek ke muñh se jis ghaḌī niklī
phir to sau kī zabān paḌtī hai
lekin itnā koī kahe mujh se
kabhū us ke bhī kaan paḌtī hai
be-sabātī zamāne kī nā-chār
karnī mujh ko bayān paḌtī hai
garm-joshī-e-dostāñ ba-nazar
ātish-e-kārvān paḌtī hai
dil se pūchhā ye maiñ ki ishq kī raah
kis taraf mehrbān paḌtī hai
kahā un ne ki ne ba-hindustāñ
ne sū-e-asfhān paḌtī hai
ye do-rāhā jo kufr o diiñ kā hai
donoñ ke darmiyān paḌtī hai
manzilat sher kī tire 'saudā'
yuuñ ba-vahm-o-gumāñ paḌtī hai
nahīñ 'īsā' tū par suḳhan se tire
tan-e-be-jāñ meñ jaan paḌtī hai
Top Urdushayar.com