Sauda Mohammad Rafi

yun dekh mere dida-e-pur-ab ki gardish

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
yuuñ dekh mire dīda-e-pur-āb kī gardish
dariyā meñ ho jis tarah se girdāb kī gardish
martā huuñ tire vāste rotā huuñ zi-bas yaar
hai sail mirī chashm meñ girdāb kī gardish
phir jaatī haiñ is tarah se ik pal meñ vo añkhiyāñ
juuñ bazm meñ ho jām-e-mai-e-nāb kī gardish
az-bas-ki hai āñkhoñ meñ ḳhumār us ghaḌī saaqī
mai māñge hai tujh se jo har ahbāb kī gardish
go ḳhaak huā to bhī phirā ban ke bagūlā
ho kar na ga.ī āshiq-e-betāb kī gardish
jins-e-ḳhirad-o-sabr bin is dil ko ho kyā chain
muflis ko burī hotī hai asbāb kī gardish
dil zulf-o-ruḳh-e-yār meñ 'saudā' na phire kyuuñ
ḳhush aa.e hai us ko shab-e-mahtāb kī gardish
Top Urdushayar.com