ġhunche se muskurā ke use zaar kar chale
nargis ko aañkh maar ke bīmār kar chale
phirte ho baaġh se to pukāre hai andalīb
sub.h-e-bahār-e-gul pe shab-e-tār kar chale
uThte hue jo dair se lī madrase kī raah
tasbīh shaiḳh-e-shahr kī zunnār kar chale
aa.e jo bazm meñ to uThā chehre se naqāb
parvāne hī ko sham.a se bezār kar chale
āzād karte tum hameñ qaid-e-hayāt se
is ke evaz jo dil ko giraftār kar chale
uTh kar hamāre paas se ghar tak raqīb ke
pahuñchegā vo koī jo hameñ maar kar chale
lo ḳhush raho ghar apne meñ jis shakl se ho tum
do chaar naale ham pas-e-dīvār kar chale
andoh-o-dard-o-ġham ne kiyā azm jab idhar
ham ko adam se qāfila-sālār kar chale
'saudā' ne apne ḳhuuñ kī diyat tum se yak-nigāh
chāhī to itnī baat se inkār kar chale
pyāre ḳhudā ke vāste Tuk apne dil ke biich
insāf to karo ye kise maar kar chale