apne kā hai gunāh begāne ne kyā kiyā
is dil ko kyā kahūñ ki divāne ne kyā kiyā
yaañ tak satānā muj ko ki ro ro kahe tū haa.e
yaaro na tum sunā ki fulāne ne kyā kiyā
parda to rāz-e-ishq se ai yaar uTh chukā
be-sūd ham se muñh ke chhupāne ne kyā kiyā
āñkhoñ kī rahbarī ne kahūñ kyā ki dil ke saath
kūche kī us ke raah batāne ne kyā kiyā
kaam aa.ī kohkan kī mashaqqat na ishq meñ
patthar se jū-e-shīr ke laane ne kyā kiyā
Tuk dar tak apne aa mire nāseh kā haal dekh
maiñ to divānā thā pe siyāne ne kyā kiyā
chāhūñ maiñ kis tarah ye zamāne kī dostī
auroñ se dost ho ke zamāne ne kyā kiyā
kahtā thā maiñ gale kā tire ho paḌūñgā haar
dekhā na gul ko sar pe chaḌhāne ne kyā kiyā
'saudā' hai be-tarah kā nasha jām-e-ishq meñ
dekhā ki us ko muñh ke lagāne ne kyā kiyā