Sauda Mohammad Rafi

dil mein tere jo koi ghar kar gaya

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
dil meñ tire jo koī ghar kar gayā
saḳht muhim thī ki vo sar kar gayā
vahm-e-ġhalat-kār ne dil ḳhush kiyā
kis pe na jaane vo nazar kar gayā
jā hī bhiḌā tujh saf-e-mizhgāñ se yaar
dil to mirā zor-e-jigar kar gayā
raat milā thā mujhe tanhā raqīb
yaar ḳhudā kā hī maiñ Dar kar gayā
faiz tire vasf-e-bunā-gosh kā
apne suḳhan ko to guhar kar gayā
dekh lī saaqī kī bhī dariyā-dilī
lab na hamāre kabhū tar kar gayā
kyuuñ ke karāhūñ na shab o roz meñ
dard mire pahlū meñ ghar kar gayā
naf.a ko pahuñchā ye tujhe de ke dil
jaan kā apnī meñ zarar kar gayā
aur ġhazal ab koī saudā tū kah
ye to yūñhī thī maiñ nazar kar gayā
Top Urdushayar.com