Sauda Mohammad Rafi

tujh qaid se dil ho kar aazad bahut roya

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
tujh qaid se dil ho kar āzād bahut royā
lazzat ko asīrī kī kar yaad bahut royā
tasvīr mirī tujh bin ''mānī'' ne jo kheñchī thī
andāz samajh us kā ''bahzād'' bahut royā
naale ne tire bulbul nam chashm na kī gul kī
fariyād mirī sun kar sayyād bahut royā
jueñ paḌī bahtī haiñ jā dekh gulistāñ meñ
tujh qad se ḳhajil ho kar shamshād bahut royā
ā.īna jo paanī meñ hai ġharq ye baa.is hai
tujh saḳht-dilī aage faulād bahut royā
yaañ tak mire mash.had se hai tishna-labī paidā
is samt jo ho guzrā jallād bahut royā
'saudā' se ye maiñ pūchhā dil maiñ bhī kisī ko duuñ
vo kar ke bayāñ apnī rūdād bahut royā
Top Urdushayar.com