Sauda Mohammad Rafi

dekhun hun yun main us sitam-ijad ki taraf

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
dekhūñ huuñ yuuñ maiñ us sitam-ījād kī taraf
juuñ said vaqt zabah ke sayyād kī taraf
ne daana ham qayās kiyā ne lihāz-e-dām
dhañs ga.e qafas meñ dekh ke sayyād kī taraf
sābit na hove ḳhuun mirā roz-e-bāz-purs
boleñge ahl-e-hashr so jallād kī taraf
patthar kī lekh thā suḳhan us kā hazār haif
bolī zabān-e-tesha na farhād kī taraf
turra ke tere vāste sad-chob-e-shān-a-dār
qumrī ga.ī hai kāTne shamshād kī taraf
'saudā' tū is ġhazal ko ġhazal-dar-ġhazal hī kah
honā hai tujh ko 'mīr' se ustād kī taraf
Top Urdushayar.com