Sauda Mohammad Rafi

dildar usko KHwah dil-azar kuchh kaho

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
dildār us ko ḳhvāh dil-āzār kuchh kaho
suntā nahīñ kisū kī mirā yaar kuchh kaho
ġhamza adā nigāh tabassum hai dil kā mol
tum bhī agar ho us ke ḳharīdār kuchh kaho
shīrīñ ne kohkan se mañgā.ī thī jū-e-shīr
gar imtihāñ hai us se bhī dushvār kuchh kaho
har aan aa mujhī ko satāte ho nāseho
samjhā ke tum use bhī to yak-bār kuchh kaho
ai sākinān-e-kunj-e-qafas sub.h ko sabā
sunte haiñ jā.egī sū-e-gulzār kuchh kaho
aalam kī guftugū se to aatī hai bū-e-ḳhūñ
banda hai ik nigah kā gunahgār kuchh kaho
'saudā' muvāfaqat kā sabab jāntā hai yaar
samjhe muḳhālif us ko kuchh aġhyār kuchh kaho
Top Urdushayar.com