Sauda Mohammad Rafi

dil mat Tapak nazar se ki paya na jaega

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
dil mat Tapak nazar se ki paayā na jā.egā
juuñ ashk phir zamīñ se uThāyā na jā.egā
ruḳhsat hai bāġhbāñ ki tanik dekh leñ chaman
jaate haiñ vaañ jahāñ se phir aayā na jā.egā
ka.aba Dahā to ġham na kar ai shaiḳh-e-but-shikan
dil barhaman kā hai ki banāyā na jā.egā
aane se fauj-e-ḳhat ke na ho dil ko muḳhlisī
bañdhuā hai zulf kā ye chhuTāyā na jā.egā
pahuñcheñge us chaman meñ na ham daad ko kabhū
juuñ gul ye chāk-e-jeb silāyā na jā.egā
teġh-e-jafā-e-yār se dil sar na pheriyo
phir muñh vafā ko ham se dikhāyā na jā.egā
āvegā vo chaman meñ na ai abr jab talak
paanī guloñ ke muñh meñ chuvāyā na jā.egā
ammāme ko utaar ke paḌhiyo namāz shaiḳh
sajde se varna sar ko uThāyā na jā.egā
zāhid gile se mastoñ ke baaz aane kā nahīñ
tā mai-kade meñ lā ke chhakāyā na jā.egā
zālim na maiñ kahā thā ki is ḳhuuñ se darguzar
'saudā' kā qatl hai ye chhupāyā na jā.egā
dāmān-o-dāġh-e-teġh ko dhoyā to kyā huā
aalam ke dil se daaġh dhulāyā na jā.egā
Top Urdushayar.com