hamāre ḳhuun ke pyāse pashemānī se mar jaa.eñ
agar ham ek din apnī hī nādānī se mar jaa.eñ
aziyyat se janam letī suhulat raas aatī hai
koī aisī paḌe mushkil ki āsānī se mar jaa.eñ
adhūrī sī nazar kaafī hai us ā.īna-dārī par
agar ham ġhaur se dekheñ to hairānī se mar jaa.eñ
banā rakkhī haiñ dīvāroñ pe tasvīreñ parindoñ kī
vagarna ham to apne ghar kī vīrānī se mar jaa.eñ
agar vahshat kā ye aalam rahā to ain-mumkin hai
sukūñ se jiite jiite bhī pareshānī se mar jaa.eñ
kahīñ aisā na ho yārab ki ye tarse hue aabid
tirī jannat meñ ashyā kī farāvānī se mar jaa.eñ