Sauda Mohammad Rafi

chehre pe na ye naqab dekha

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
chehre pe na ye naqāb dekhā
parde meñ thā āftāb dekhā
kyuuñ kar na bikūñ maiñ haath us ke
yūsuf kī tarah maiñ ḳhvāb dekhā
kuchh maiñ hī nahīñ huuñ, ek aalam
us ke liye yaañ ḳharāb dekhā
dil tū ne abas likhā thā naama
jo un ne diyā javāb dekhā
be-jurm o gunāh qatl-e-āshiq
maz.hab meñ tire savāb dekhā
kuchh hove to ho adam meñ rāhat
hastī meñ to ham azaab dekhā
jis chashm ne mujh taraf nazar kī
us chashm ko maiñ pur-āb dekhā
hairān vo tere ishq meñ hai
yaañ ham ne jo shaiḳh o shaab dekhā
bhūlā hai vo dil se lutf us kā
'saudā' ne ye jab itaab dekhā
Top Urdushayar.com