āshiq kī bhī kaTtī haiñ kyā ḳhuub tarah rāteñ
do-chār ghaḌī ronā do-chār ghaḌī bāteñ
qurbāñ huuñ mujhe jis dam yaad aatī haiñ vo bāteñ
kyā din vo mubārak the kyā ḳhuub thiiñ vo rāteñ
auroñ se chhuTe dilbar dil-dār hove merā
bar-haq haiñ agar pairav kuchh tum meñ karāmāteñ
kal laḌ ga.iiñ kūche meñ āñkhoñ se mirī āñkhiyāñ
kuchh zor hī aapas meñ do do huiiñ samghāteñ
kashmīr sī jāgah meñ nā-shukr na rah zāhid
jannat meñ tū ai giidī maare hai ye kyuuñ lāteñ
is ishq ke kūche meñ zāhid tū sambhal chalnā
kuchh pesh na jāveñgī yaañ terī munājāteñ
us roz miyāñ mil kar nazroñ ko churāte the
tujh yaad meñ hī sājan karte haiñ madārāteñ
'saudā' ko agar pūchho ahvāl hai ye us kā
do-chār ghaḌī ronā do-chār ghaḌī bāteñ