Sauda Mohammad Rafi

kijiye na asiri mein agar zabt nafas ko

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
kījiye na asīrī meñ agar zabt nafas ko
de aag abhī sho.ala-e-āvāz qafas ko
bah jaave lahū ho ke dil-e-qāfila-sālār
ta.alīm de naala jo mirā bāñg-e-jaras ko
pahuñche hai nam-e-dāġh-e-jigar tā sar-e-mizhgāñ
shādāb maiñ rakhtā huuñ sadā aag se ḳhas ko
phirtā hai udhar zulf meñ shāna to idhar dil
ye duzd na laayā kabhū ḳhātir meñ asas ko
ai ishq na farhād bachā tujh se na parvez
bā-ḳhāk barābar tū kiyā nā-kas-o-kas ko
le sakte nahīñ saañs tirī kū ke muqayyad
tā ḳhūn-e-jigar biich na ġhota deñ nafas ko
tarġhīb na kar sair-e-chaman kī hameñ 'saudā'
har-chand havā ḳhuub hai vaañ lek havas ko
Top Urdushayar.com