be-vaj.h na.iiñ hai aa.ina har baar dekhnā
koī dam ko phūltā hai ye gulzār dekhnā
nargis kī tarah ḳhaak merī ugeñ haiñ chashm
Tuk aan ke ye hasrat-e-dīdār dekhnā
khīñche to teġh hai haram-e-dil ke said par
ai ishq par bhalā tū mujhe maar dekhnā
hai naqs-e-jān diid tirā par yahī hai dhun
jī jaao yaar ho mujhe yak-bār dekhnā
ai tifl-e-ashk hai falak-e-haftamīñ pa arsh
aage qadam na rakhiyo tū zinhār dekhnā
pūchhe ḳhudā sabab jo mire ishtiyāq kā
merī zabāñ se ho yahī iz.hār dekhnā
har naqsh-e-pā pe taḌpe hai yaaro har ek dil
Tuk vāste ḳhudā ke ye raftār dekhnā
kartā to hai tū aan ke 'saudā' se iḳhtilāt
koī lahr aa ga.ī to mire yaar dekhnā
tujh bin ajab ma.āsh hai 'saudā' kā in dinoñ
tū bhī Tuk us ko jā ke sitamgār dekhnā
ne harf o ne hikāyat o ne sher o ne suḳhan
ne sair-e-bāġh o ne gul-o-gulzār dekhnā
ḳhāmosh apne kalba-e-ahzāñ meñ roz o shab
tanhā paḌe hue dar-o-dīvār dekhnā
yā jā ke us galī meñ jahāñ thā tirā guzar
le sub.h tā-ba-shām ka.ī baar dekhnā
taskīn-e-dil na is meñ bhī paa.ī to bahr-e-shaġhl
paḌhnā ye sher gar kabhū ash.ār dekhnā
kahte the ham na dekh sakeñ roz-e-hijr ko
par jo ḳhudā dikhā.e so nā-chār dekhnā