Sauda Mohammad Rafi

jab yar ne uTha kar zulfon ke baal bandhe

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
jab yaar ne uThā kar zulfoñ ke baal bāñdhe
tab maiñ ne apne dil meñ lākhoñ ḳhayāl bāñdhe
do din meñ ham to rījhe ai vaa.e haal un kā
guzre haiñ jin ke dil ko yaañ māh-o-sāl bāñdhe
tār-e-nigah meñ us ke kyūñkar phañse na ye dil
āñkhoñ ne jis ke lākhoñ vahshī ġhazāl bāñdhe
jo kuchh hai rañg us kā so hai nazar meñ apnī
go jaama zard pahne yā chīra laal bāñdhe
tere hī sāmne kuchh bahke hai merā naala
varna nishāne ham ne maare haiñ baal bāñdhe
bose kī to hai ḳhvāhish par kahiye kyūñki us se
jis kā mizāj lab par harf-e-savāl bāñdhe
māroge kis ko jī se kis par kamar kasī hai
phirte ho kyuuñ pyāre talvār Dhaal bāñdhe
do-chār sher aage us ke paḌhe to bolā
mazmūñ ye tū ne apne kyā hasb-e-hāl bāñdhe
'saudā' jo un ne bāñdhā zulfoñ meñ dil sazā hai
sheroñ meñ us ke tū ne kyuuñ ḳhatt-o-ḳhāl bāñdhe
Top Urdushayar.com