Sauda Mohammad Rafi

ai aah teri qadr asar ne to na jaani

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
ai aah tirī qadr asar ne to na jaanī
go tuj ko laqab ham ne diyā arsh-makānī
yak ḳhalq kī nazroñ meñ subuk ho gayā lekin
kartā huuñ maiñ ab tak tirī ḳhātir pe girānī
Tuk dīda-e-tahqīq se tū dekh zuleḳhā
har chaah meñ aatā hai nazar yūsuf-e-sānī
māmūr hai jis roz se vīrāna-e-duniyā
har jins ke insāñ kī ye maaTī ga.ī chhānī
ik vāmiq-e-nau kā hai samajh chaak garebāñ
kartī hai jo raḳhna koī dīvār purānī
bulbul hī sisaktī na thī kuchh baaġh meñ tujh bin
shabnam guloñ ke muñh meñ chuvātī rahī paanī
hai gosh-zada ḳhalq mirā qissa-e-jāñ-kāh
jab se ki na samjhe thā tū chiḌiyā kī kahānī
juuñ sham.a mujhe sharm hai zunnār kī ai shaiḳh
maalā na japūñ raat ko be-ashk-fishānī
jis samt nazar mauj-e-sarāb aave to ye jaan
hovegī kisī zulf-e-chalīpā kī nishānī
kyā kyā mile lailā-manshāñ ḳhaak meñ 'saudā'
go apne bhī mahbūb kī dekhī na javānī
Top Urdushayar.com