gadā dast-e-ahl-e-karam dekhte haiñ
ham apnā hī dam aur qadam dekhte haiñ
na dekhā jo kuchh jaam meñ jam ne apne
so yak qatra-e-mai meñ ham dekhte haiñ
ye ranjish meñ ham ko hai be-iḳhtiyārī
tujhe terī khā kar qasam dekhte haiñ
ġharaz kufr se kuchh na diiñ se hai matlab
tamāshā-e-dair-o-haram dekhte haiñ
hubāb-e-lab-e-jū haiñ ai bāġhbāñ ham
chaman ko tire koī dam dekhte haiñ
navishte ko mere miTāte haiñ ro ro
malā.ek jo lauh o qalam dekhte haiñ
miTā jaa.e hai harf harf āñsuoñ se
jo naama use kar raqam dekhte haiñ
akaḌ se nahīñ kaam sumbul kī ham ko
kisī zulf kā pech o ḳham dekhte haiñ
ḳhudā dushmanoñ ko na vo kuchh dikhā.e
jo kuchh dost se apne ham dekhte haiñ
sitam se kiyā tū ne ham ko jo ḳhūgar
karam se tire ham sitam dekhte haiñ
magar tujh se ranjīda-ḳhātir hai 'saudā'
use tere kūche meñ kam dekhte haiñ