gul pheñke hai auroñ kī taraf balki samar bhī
ai ḳhāna-bar-andāz-e-chaman kuchh to idhar bhī
kyā zid hai mire saath ḳhudā jaane vagarna
kaafī hai tasallī ko mirī ek nazar bhī
ai abr qasam hai tujhe rone kī hamāre
tujh chashm se Tapkā hai kabhū laḳht-e-jigar bhī
ai naala sad afsos javāñ marne pe tere
paayā na tanik dekhne tiiñ rū-e-asar bhī
kis hasti-e-mauhūm pe nāzāñ hai tū ai yaar
kuchh apne shab-o-roz kī hai tuj ko ḳhabar bhī
tanhā tire mātam meñ nahīñ shām-e-siyah-posh
rahtā hai sadā chaak garebān-e-sahar bhī
'saudā' tirī fariyād se āñkhoñ meñ kaTī raat
aa.ī hai sahar hone ko Tuk tū kahīñ mar bhī