Sauda Mohammad Rafi

baatil hai humse dawa shaer ko ham-sari ka

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
bātil hai ham se da.avā shā.er ko ham-sarī kā
dīvān hai hamārā kiisa javāharī kā
chehra tirā sā kab hai sultān-e-ḳhāvarī kā
chīra hazār bāñdhe sar par jo vo zarī kā
muñh par ye goshvāra motī kā jalva-gar hai
jaise qirān-e-bāham ho maah o mushtarī kā
ā.īna-ḳhāne meñ vo jis vaqt aan baiThe
phir jis taraf ko dekho jalva hai vaañ parī kā
juz shauq-e-dil na pahuñchūñ hargiz ba-kū-e-jānāñ
ai ḳhizr kab huuñ terī muhtāj rahbarī kā
jo dekhtā hai tujh ko hañstā hai qahqahe maar
ai shaiḳh terā chehra mabdā hai masḳharī kā
tālib haiñ sīm-o-zar ke ḳhūbān-e-hind 'saudā'
ahvāl kaun samjhe āshiq kī be-zarī kā
Top Urdushayar.com