Sauda Mohammad Rafi

nasim hai tere kuche mein aur saba bhi hai

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
nasīm hai tire kūche meñ aur sabā bhī hai
hamārī ḳhaak se dekho to kuchh rahā bhī hai
tirā ġhurūr mirā ijz tā kujā zālim
har ek baat kī āḳhir kuchh intihā bhī hai
jale hai sham.a se parvāna aur maiñ tujh se
kahīñ hai mehr bhī jag meñ kahīñ vafā bhī hai
ḳhayāl apne meñ go huuñ tarāna-sanjāñ mast
karāhne ke diloñ ko kabhī sunā bhī hai
zabān-e-shikva sivā ab zamāne meñ haihāt
koī kisū se baham dīgar āshnā bhī hai
sitam ravā hai asīroñ pe is qadar sayyād
chaman chaman kahīñ bulbul kī ab navā bhī hai
samajh ke rakhiyo qadam ḳhār-e-dasht par majnūñ
ki is navāh meñ 'saudā' barhana-pā bhī hai
Top Urdushayar.com