hindū haiñ but-parast musalmāñ ḳhudā-parast
pūjūñ maiñ us kisī ko jo ho āshnā-parast
is daur meñ ga.ī hai muravvat kī aañkh phuuT
mādūm hai jahān se chashm-e-hayā-parast
dekhā hai jab se rañg-e-kafak tere paañv meñ
ātish ko chhoḌ gabr hue haiñ hinā-parast
chāhe ki aks-e-dost rahe tujh meñ jalva-gar
ā.īna-dār dil ko rakh apne safā-parast
āvārgī se ḳhush huuñ maiñ itnā ki bād-e-marg
har zarra merī ḳhaak kā hogā havā-parast
ḳhāk-e-fanā ko tā-ki parastish tū kar sake
juuñ ḳhizr mat kahā.iyo āb-e-baqā-parast
'saudā' se shaḳhs ke ta.iiñ āzurda kījiye
ai ḳhud-parast haif nahīñ tū vafā-parast