Sauda Mohammad Rafi

tujh bin bahut hi kaTti hai auqat be-tarah

Sauda Mohammad Rafi

Delhi, India

1713-1780
tujh bin bahut hī kaTtī hai auqāt be-tarah
jūñ-tūñ ke din to guzre hai par raat be-tarah
hotī hai ek tarah se har kaam kī jazā
a.amāl-e-ishq kī hai mukāfāt be-tarah
bulbul kar us chaman meñ samajh kar Tuk āshiyāñ
sayyād lag rahā hai tirī ghaat be-tarah
pūchhā payām-bar se jo maiñ yaar kā javāb
kahne lagā ḳhamosh ki hai baat be-tarah
milne na degā ham se tujhe ek-dam raqīb
pīchhe lagā phire hai vo bad-zāt be-tarah
koī hī mor hai to rahe is meñ shaiḳh-jī
dāḌhī paḌī hai shāne ke ab haath be-tarah
'saudā' na mil kar apnī tū ab zindagī pe rahm
hai us javāñ kī tarz-e-mulāqāt be-tarah
Top Urdushayar.com