dhuum se sunte haiñ ab kī saal aatī hai bahār
dekhiye kyā kuchh hamāre sar pe laatī hai bahār
shāyad azm-e-yār kī gulshan meñ pahuñchī hai ḳhabar
gil ke pairāhan meñ phūlī na.iiñ samātī hai bahār
dekhne de bāġhbāñ ab gulsitāñ apnā mujhe
halqa-e-zanjīr meñ mehmāñ bulātī hai bahār
shor ye ġhunchoñ ke vā-shud kā nahīñ ai andalīb
ab chaman meñ tumtarāq apnā dikhātī hai bahār
kyuuñ phañsā gulshan meñ yuuñ jā kar abas saudā tū ab
meñ na kahtā thā tujhe vo dekh aatī hai bahār