mujhe ronā nahīñ āvāz bhī bhārī nahīñ karnī
mohabbat kī kahānī meñ adākārī nahīñ karnī
havā ke ḳhauf se lipTā huā huuñ ḳhushk Tahnī se
kahīñ jaanā nahīñ jaane kī tayyārī nahīñ karnī
tahammul ai mohabbat hijr pathrīlā ilāqa hai
tujhe is rāste par tez-raftārī nahīñ karnī
hamārā dil zarā uktā gayā thā ghar meñ rah rah kar
yūñhī bāzār aa.e haiñ ḳharīdārī nahīñ karnī
ġhazal ko kam-nigāhoñ kī pahuñch se duur rakhtā huuñ
mujhe banjar dimāġhoñ meñ shajar-kārī nahīñ karnī
vasiyyat kī thī mujh ko qais ne sahrā ke baare meñ
ye merā ghar hai is kī chār-dīvārī nahīñ karnī