Afzal Khan

aadmi KHwar bhi hota hai nahin bhi hota

Afzal Khan

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1975
aadmī ḳhvār bhī hotā hai nahīñ bhī hotā
ishq āzār bhī hotā hai nahīñ bhī hotā
ye jo kuchh log ḳhayāloñ meñ rahā karte haiñ
un kā ghar-bār bhī hotā hai nahīñ bhī hotā
zindagī sahl-pasandī meñ basar kar lenā
kār-e-dushvār bhī hotā hai nahīñ bhī hotā
kār-e-duniyā hī kuchh aisā hai ki dil se tirā dard
silsila-vār bhī hotā hai nahīñ bhī hotā
shādī-o-marg ne ye nukta batāyā hai ki vaqt
tez-raftār bhī hotā hai nahīñ bhī hotā
'afzal' aur qais ne qānūn banāyā hai ki ishq
dūsrī baar bhī hotā hai nahīñ bhī hotā
Top Urdushayar.com