kal apne shahr kī bas meñ savār hote hue
vo dekhtā thā mujhe ashk-bār hote hue
parinde aa.e to gumbad pe baiTh jā.eñge
nahīñ shajar kī zarūrat mazār hote hue
hai ek aur bhī sūrat razā-o-kufr ke biich
ki shak bhī dil meñ rahe e'tibār hote hue
mire vajūd se dhāgā nikal gayā hai dost
maiñ be-shumār huā huuñ shumār hote hue
Dubo rahā hai mujhe Dūbne kā ḳhauf ab tak
bhañvar ke biich huuñ dariyā ke paar hote hue
vo qaid-ḳhāna ġhanīmat thā mujh se be-ghar ko
ye zehn hī meñ na aayā farār hote hue