raah bholā huuñ magar ye mirī ḳhāmī to nahīñ
maiñ kahīñ aur se aayā huuñ maqāmī to nahīñ
ūñchā lahja hai faqat zor-e-dalā.el ke liye
ai mirī jaañ ye mirī talḳh-kalāmī to nahīñ
un daraḳhtoñ ko duā do ki jo raste meñ na the
jaldī aane kā sabab tez-ḳhirāmī to nahīñ
terī masnad pe koī aur nahīñ aa saktā
ye mirā dil hai koī ḳhālī asāmī to nahīñ
maiñ hama-vaqt mohabbat meñ paḌā rahtā thā
phir kisī dost se pūchhā ye ġhulāmī to nahīñ
bartarī itnī bhī apnī na jatā ai mire ishq
tū 'nadīm'-o-'zakī' o 'kāshif'-o-'kāmī' to nahīñ