shikast-e-zindagī vaise bhī maut hī hai nā
to sach batā ye mulāqāt āḳhirī hai nā
kahā nahīñ thā mirā jism aur bhar yārab
so ab ye ḳhaak tire paas bach ga.ī hai nā
tū mere haal se anjān kab hai ai duniyā
jo baat kah nahīñ paayā samajh rahī hai nā
isī liye hameñ ehsās-e-jurm hai shāyad
abhī hamārī mohabbat na.ī na.ī hai nā
ye kor-chashm ujāloñ se ishq karte haiñ
jo ghar jalā ke bhī kahte haiñ raushnī hai nā
maiñ ḳhud bhī yaar tujhe bhūlne ke haq meñ huuñ
magar jo biich meñ kam-baḳht shā.erī hai nā
maiñ jān-būjh ke aayā thā teġh aur tire biich
miyāñ nibhānī to paḌtī hai dostī hai nā