hameñ nazdīk kab dil kī mohabbat khīñch laatī hai
tujhe terī mujhe merī zarūrat khīñch laatī hai
chhupā hai jo ḳhazāna tah meñ in banjar zamīnoñ kī
use bāhar zamīñ se merī mehnat khīñch laatī hai
maiñ maazī ko bhulā kar apne mustaqbil meñ zinda huuñ
nigāhoñ se hai jo ojhal bashārat khīñch laatī hai
mirā dushman mirī āñkhoñ se ojhal ho nahīñ saktā
mire nazdīk us ko dil kī nafrat khīñch laatī hai
samundar paar jaane vaale ik dan lauT ā.eñge
mirā īmāñ hai miTTī kī mohabbat khīñch laatī hai
jo apnā ghar kisī ke ishq meñ barbād karte haiñ
unheñ sahrā meñ un ke dil kī vahshat khīñch laatī hai
kabhī hotā hai jo vīrān mere shahr kā maqtal
kisī mansūr ko 'ārif' sadāqat khīñch laatī hai