ghar se chīḳheñ uTh rahī thiiñ aur maiñ jaagā na thā
itnī gahrī niiñd to pahle kabhī soyā na thā
nashsha-e-āvārgī jab kam huā to ye khulā
koī bhī rasta mire ghar kī taraf jaatā na thā
kyā gila ik dūsre se bevafā.ī kā kareñ
ham ne hī ik dūsre ko Thiik se samjhā na thā
gul na the jis meñ vo gulshan bhī thā jañgal kī tarah
ghar vo qabristān thā jis meñ koī bachcha na thā
āsmāñ par thā ḳhudā tanhā magar 'ārif-shafīq'
is zamīñ par koī bhī merī tarah tanhā na thā