Arif Shafiq

jo apni KHwahishon mein tu ne kuchh kami kar li

Arif Shafiq

Karachi, Sindh, Pakistan

1956
jo apnī ḳhvāhishoñ meñ tū ne kuchh kamī kar lī
to phir ye jaan ki tū ne payambarī kar lī
tujhe maiñ zindagī apnī samajh rahā thā magar
tire baġhair basar maiñ ne zindagī kar lī
pahuñch gayā huuñ maiñ manzil pe gardish-e-daurāñ
Thahar bhī jā ki bahut tū ne rahbarī kar lī
jo mere gaañv ke khetoñ meñ bhuuk ugne lagī
mire kisānoñ ne shahroñ meñ naukrī kar lī
jo sachchī baat thī vo maiñ ne barmalā kah dī
yuuñ apne dostoñ se maiñ ne dushmanī kar lī
mashīnī ahd meñ ehsās-e-zindagī ban kar
dukhī diloñ ke liye maiñ ne shā.erī kar lī
ġharīb-e-shahr to faaqe se mar gayā 'ārif'
amīr-e-shahr ne hiire se ḳhud-kushī kar lī
Top Urdushayar.com