andhe adam vajūd ke girdāb se nikal
ye zindagī bhī ḳhvāb hai tū ḳhvāb se nikal
sūraj se apne bichhḌī huī ik kiran hai tū
terā nasīb jism ke barfāb se nikal
tū miTTī paanī aag havā meñ hai qaid kyuuñ
hone kā de javāz tab-o-tāb se nikal
phūloñ meñ chāñd tāroñ meñ sūraj meñ us ko dekh
in pattharoñ ke mimbar o mehrāb se nikal
murjhā na jaa.e dekh kahīñ ruuh kā gulāb
faanī jahāñ kī vādi-e-shādāb se nikal
ban ke jazīra ubhregā kirdār ḳhud tirā
ḳhush-rañg ḳhvāhishoñ ke tū sailāb se nikal
kahtī haiñ mujh se soch samundar kī vus.ateñ
'ārif' tū apnī zaat ke tālāb se nikal