tū zamīñ par hai kahkashāñ jaisā
maiñ kisī qabr ke nishāñ jaisā
maiñ ne har haal meñ kiyā hai shukr
us ne rakkhā mujhe jahāñ jaisā
ho ga.ī vo bahan bhī ab ruḳhsat
pyaar jis ne diyā thā maañ jaisā
fāsla kyuuñ diloñ meñ aayā hai
ghar ke āñgan ke darmiyāñ jaisā
mere dil ko milā na lafz koī
mere ashkoñ ke tarjumāñ jaisā
mere ik sher meñ samāyā hai
karb sadiyoñ kī dāstāñ jaisā
shahr meñ ek mujh ko dikhlā do
tum mire gaañv ke javāñ jaisā
jhiil sī in udaas āñkhoñ meñ
aks thā niile āsmāñ jaisā
mujh ko vaisā ḳhudā milā bilkul
maiñ ne 'ārif' kiyā gumāñ jaisā