jab bhī dushman ban ke is ne vaar kiyā
maiñ ne apne lahje ko talvār kiyā
maiñ ne apne phuul se bachchoñ kī ḳhātir
kāġhaz ke phūloñ kā kārobār kiyā
merī mehnat kī qīmat kyā degā tū
maiñ ne dasht-o-sahrā ko gulzār kiyā
maiñ 'farhād' yā majnūñ kaise ban jaatā
maiñ shā.ir thā maiñ ne sab se pyaar kiyā
us kī āñkheñ ḳhvāb se banñe lagtī haiñ
jab bhī maiñ ne chāhat kā iz.hār kiyā
apne pīchhe aane vāloñ kī ḳhātir
maiñ ne har ik raste ko hamvār kiyā
us ke ghar ke saare log muḳhālif the
phir bhī 'ārif' us ne mujh se pyaar kiyā