Gopi Nath Amn

jis mein amal ka josh nahin wo shabab kya

Gopi Nath Amn

jis meñ amal kā josh nahīñ vo shabāb kyā
mastī to dil meñ chāhiye shaġhl-e-sharāb kyā
kyā dard-e-dil muharrik-e-ḳhidmat nahīñ rahā
jannat Thahar ga.ī hai binā-e-savāb kyā
yūñhī nazar uThī thī zarā dair kī taraf
miltā hai ab ye dekheñ haram se ḳhitāb kyā
apnoñ se ḳhauf hai ki kahīñ ġhair hī na hoñ
hai is se baḌh ke aur jahāñ meñ azaab kyā
ummīd dostoñ se vafā kī hai aaj tak
ab tak nahīñ milī nazar-e-kāmyāb kyā
āḳhir kahāñ se aa ga.iiñ ye kaj-adā.iyāñ
aadam kī thī sarisht meñ miTTī ḳharāb kyā
hāl-e-zabūñ ke aa.ine duniyā meñ haiñ bahut
dekhī nahīñ kabhī koī chashm-e-sarāb kyā
apnī bisāt jaan ke ḳhāmosh ho gayā
shā.ir huuñ maiñ to dūñgā kisī ko javāb kyā
hañs hañs ke ham-nashīnoñ ne charke lagā.e 'amn'
in mehrbāniyoñ ke karam kā hisāb kyā
Top Urdushayar.com