Bashiruddin Ahmad Dehlvi

charagh usne bujha bhi diya jala bhi diya

Bashiruddin Ahmad Dehlvi

charāġh us ne bujhā bhī diyā jalā bhī diyā
ye merī qabr pe manzar nayā dikhā bhī diyā
ye chheḌ kyā hai ye kyā mujh se dil-lagī hai koī
jagāyā niiñd se jaagā to phir sulā bhī diyā
udhar thā lutf-o-karam un kā is taraf thā itaab
charāġh umiid kā raushan kiyā bujhā bhī diyā
ye shoḳhiyāñ na.ī dekhīñ tumhārī chitvan meñ
ki parda ruḳh pe liyā aur phir uThā bhī diyā
udhar lagāv idhar barhamī ke haiñ āsār
mujhe phañsā bhī liyā aur phir chhuḌā bhī diyā
nikal ga.e mirī āñkhoñ se saikaḌoñ aañsū
ḳhazāna jam.a kiyā aur phir luTā bhī diyā
nayā hai husn ke bāzār kā utār-chaḌhāv
chaḌhāyā sar pe nigāhoñ se phir girā bhī diyā
zarā to pās-e-talab āshiqoñ kā tum karte
bulāyā paas bhī phir paas se haTā bhī diyā
ye un kā khel to dekho ki ek kāġhaz par
likhā bhī naam mirā aur phir miTā bhī diyā
agarche rāh-e-mohabbat hai tañg-o-tār magar
isī ke saath hameñ aql kā diyā bhī diyā
bashīr siiñg kaTā kar mile haiñ bachhḌoñ meñ
bane javān buḌhāpe kā ġham bhulā bhī diyā
Top Urdushayar.com