Bashiruddin Ahmad Dehlvi

wo apne matlab ki kah rahe hain zaban par go hai baat meri

Bashiruddin Ahmad Dehlvi

vo apne matlab kī kah rahe haiñ zabān par go hai baat merī
hai chit bhī un kī hai paT bhī un kī hai jiit un kī hai maat merī
kabhī vo miltā hai dushmanoñ se kabhī vo miltā hai mujh se aa kar
jo din hai merā to raat un kī jo din hai un kā to raat merī
kabhī hai tola kabhī hai māsha kabhī haiñ nā-ḳhush kabhī haiñ vo ḳhush
qarār un ko nahīñ hai dam-bhar hai taak un kī to ghaat merī
ye baat kyā hai ye mājrā kyā ye raaz kyā hai ye vāqi.a kyā
ki haañ meñ haañ sab milā rahe haiñ vo kar rahe haiñ sifāt merī
irāda hai maiñ likhūñ fasāna kisī kī kuchh dil-shikastagī kā
qalam shikasta paḌā kidhar hai kahāñ hai koī davāt merī
idhar banī hai dil-e-hazīñ par udhar to sargarm-e-nāz haiñ vo
koī ye aa kar tamāshā dekhe adā hai un kī mamāt merī
ye ho rahā hai tamāsha kaisā idhar to ġham hai udhar hai shādī
kabhī uThegā janāza merā kabhī sajī thī barāt merī
Top Urdushayar.com