kaun kahtā hai nasīm-e-saharī aatī hai
nik.hat-e-gul meñ basī ek parī aatī hai
shauq se zulm karo shauq se do tum āzār
ye samajh lo mujhe bhī nauhagarī aatī hai
koī kahtā hai ki aatā hai dukhānā dil kā
koī kahtā hai tumheñ chāragarī aatī hai
dard-e-ulfat ko baḌhā kar vo ghaTā dete haiñ
chaak dil kyuuñ na kareñ baḳhiya-garī aatī hai
jhuuT se mujh ko na matlab na banāvaT se kaam
baat jo aatī hai muñh par vo kharī aatī hai
zor se saañs jo letā huuñ to akasr shab-e-ġham
dil kī āvāz ajab dard bharī aatī hai
dast-e-vahshat kā mire shuġhl vo kyā pūchhte haiñ
kuchh nahīñ aatā faqat jāma-darī aatī hai
kaam karne ke salīqe se ham āgāh nahīñ
aur kyā aatā hai bas be-hunarī aatī hai