jab mileñge ki ab mileñge aap
nahīñ ma.alūm kab mileñge aap
jā.iye jā.iye ḳhudā-hāfiz
dekhiye bichhḌe kab mileñge aap
hashr meñ aap hī mileñge kyā
ek se ek sab mileñge aap
hogā mere liye vo iid kā din
aap se aa ke jab mileñge aap
ahd ke saath ye bhī ho irshād
kis tarah aur kab mileñge aap
zindagī meñ to mil nahīñ sakte
hūñgā jab jāñ-ba-lab mileñge aap
va.ada-e-vasl par na kyuuñ ḳhush huuñ
maiñ ne samjhā ki ab mileñge aap
nahīñ duniyā meñ jab bashīr-e-hazīñ
kis tarah us se ab mileñge aap