Bashiruddin Ahmad Dehlvi

zauq-e-ulfat ab bhi hai rahat ka arman ab bhi hai

Bashiruddin Ahmad Dehlvi

zauq-e-ulfat ab bhī hai rāhat kā armāñ ab bhī hai
dil pareshāñ ruuh tarsāñ chashm-e-giryāñ ab bhī hai
kab sambhāle se sambhaltā hai dil-e-pur-iztirāb
āh-e-sozāñ lab par ab bhī siina baryāñ ab bhī hai
sa.ī koshish ke liye maidān hai ab bhī farāḳh
azm-e-rāsiḳh kī zarūrat ham ko haañ haañ ab bhī hai
tuḳhm meñ roīdagī har naḳhl meñ bālīdgī
mausam-e-sarmā-o-garmā bād-o-bārāñ ab bhī hai
ḳhalq meñ maujūd haiñ ab bhī vahī la.al-o-gohar
tishna-kāmī-e-sadaf ko abr-e-naisāñ ab bhī hai
shaam bhī hai sub.h bhī hai aur din bhī raat bhī
māh-e-tābāñ ab bhī hai mahr-e-daraḳhshāñ ab bhī hai
āshiq o ma.ashūq bhī haiñ vasl o hijr o rashk bhī
mahr ulfat teġh o ḳhanjar tiir paikāñ ab bhī hai
hai vahī dīvāngī ab bhī vahī shorīdgī
jaib o dāman hadiya-e-ḳhār-e-bayābāñ ab bhī hai
shauq o zauq ab bhī hai baaqī murda-dil ham haiñ to haiñ
apne dil ko hasrat-e-sair-e-gulistāñ ab bhī hai
ishq kī sūrat jo badle to ho āshiq bhī kuchh aur
ye jafā-o-jaur kā har vaqt ḳhvāhāñ ab bhī hai
aa ga.ī piirī magar ab tak hai tū mahv-e-ḳhayāl
ham-sabaq tifloñ kā tū tifl-e-dabistāñ ab bhī hai
garmi-e-mahfil vahī hai jam.a haiñ ahbāb bhī
hastī-e-parvāna o sham-e-shabistāñ ab bhī hai
ġhair-mumkin hai badal jaa.e kabhī qānūn-e-haq
hukm-e-yazdāñ ab bhī hai ijrā-e-farmāñ ab bhī hai
kyuuñ musalmānoñ ne badlā haal apnī qaum kā
thā jo qur.āñ bas vahī maujūd qur.āñ ab bhī hai
qashqa bālā-e-jabīñ zunnār hai bālā-e-dosh
ye batā īmān se kyā tū musalmāñ ab bhī hai
ittiqā o zohd se dil-bastagī baaqī nahīñ
dāvā-e-islām jaisā pahle thā haañ ab bhī hai
kho diye ayyām-e-pīrī ne tere hosh-o-havās
ai bashīr-e-be-navā kuchh dil meñ armāñ ab bhī hai
Top Urdushayar.com