Bashiruddin Ahmad Dehlvi

puchhte hain wo ishq ka matlab

Bashiruddin Ahmad Dehlvi

pūchhte haiñ vo ishq kā matlab
ab nikal jā.egā mirā matlab
us pe zāhir huā mirā matlab
kaash puurā kare ḳhudā matlab
kah diyā un se barmalā matlab
ab ḳhudā chāhe to huā matlab
baat puurī abhī nahīñ niklī
muñh se tum le uḌe mirā matlab
kahte haiñ arz-e-vasl par vo kaho
dūsrī baat dūsrā matlab
hai ye matlab na kuchh zabāñ se kahūñ
maiñ samajhtā huuñ aap kā matlab
jo tamannā hai tum pe zāhir hai
har ghaḌī pūchhne se kyā matlab
dil meñ jo kuchh thā un se kah na sakā
lab pe aa aa ke rah gayā matlab
mudda.ā hai vahī jo pahle thā
aur maiñ kyā kahūñ nayā matlab
rū-ba-rū un ke baat kar na sakā
ḳhat meñ āḳhir ko likh diyā matlab
baat kyā hai vo mujh se pūchhte haiñ
vāqi.a qissa mājrā matlab
vāsta ġhair kā nahīñ achchhā
ḳhuub bantā hai barmalā matlab
tum jo mil jaao kaam ban jaa.e
aur us ke sivā hī kyā matlab
aaj ḳhush ḳhush bashīr phirte haiñ
niklā armān mudda.ā matlab
Top Urdushayar.com