laḌ hī jaa.e kisī nigār se aañkh
kaash Thahre kahīñ qarār se aañkh
kuchh mohabbat hai kuchh muravvat hai
aaj paḌtī hai mujh pe pyaar se aañkh
chalte rahte haiñ ḳhuub tīr-e-nigāh
baaz aatī nahīñ shikār se aañkh
TikTikī se kahāñ milī fursat
aa ga.ī aajiz intizār se aañkh
kyā paḌī hai balā ko us kī arz
kyuuñ milā.e umīd-vār se aañkh
koī tadbīr ban nahīñ paḌtī
kyā mile chashm-e-sharmsār se aañkh
nīchī nazroñ se dekh lete haiñ
kyā milā.eñ vo be-qarār se aañkh
dīd-bāzī kā jis ko lapkā hai
kab Thahartī hai iztirār se aañkh
nazroñ nazroñ meñ bāteñ hotī haiñ
ḳhuub miltī hai rāzdār se aañkh
kyuuñ ye miltī hai be-vafāoñ se
kaash laḌtī vafā-shi.ār se aañkh
kabhī dar par kabhī hai raste meñ
nahīñ thaktī hai intizār se aañkh
marne ke ba.ad bhī thī sharm un ko
ki churā.ī mire mazār se aañkh
sub.h-e-mahshar uThā nahīñ jaatā
ab bhī khultī nahīñ ḳhumār se aañkh
dil ġhanī hai mirā to kyā parvā
kab milātā huuñ māl-dār se aañkh
kyuuñ jhukā.ūñ nazar bashīr apnī
kabhī jhapkī nahīñ hazār se aañkh