vo nahīñ huuñ maiñ ki jis par koī ashk-bār hotā
kabhī sham.a bhī na rotī jo mirā mazār hotā
shab-e-ġham meñ zindagī kā kise e'tibār hotā
mirī jaan jā chukī thī jo na intizār hotā
mirī dāstān-e-ġham ko vo ġhalat samajh rahe haiñ
kuchh unhīñ kī baat bantī agar e'tibār hotā
yahī soz-e-ishq jis ko maiñ hamesha raaz samjhā
jo hijāb-e-dil na jaltā to na āshkār hotā
maiñ shikāyat zamāna jo karūñ to kyā samajh kar
na ye daur-e-charḳh hotā na ye rozgār hotā
dil-e-pāra-pāra tujh ko koī yuuñ to dafn kartā
vo jidhar nigāh karte udhar ik mazār hotā
mai-e-ishq josh-zan hai ye lahū nahīñ ragoñ meñ
mirā nashsha kyuuñ utartā mujhe kyuuñ ḳhumār hotā
mire dil ne baḌh ke rokā tire tīr-e-jāñ-fishāñ ko
jo ye beach meñ na paḌtā to jigar ke paar hotā
vo lahad pe un kā aanā vo qadam qadam pe mahshar
mirī niiñd kyuuñ uchaTtī agar ek baar hotā
shab-e-hijr ba.ad mere agar is jahāñ meñ rahtī
to yahī siyāh daftar mirā yādgār hotā
jo hamāre dekhne ko kabhī aap aa nikalte
vahī aañkh dar pe hotī vahī intizār hotā
vo shabāb ke fasāne jo maiñ sun rahā huuñ dil se
agar aur koī kahtā to na e'tibār hotā
ye zamāna baḌh rahā hai faqat iztirāb-e-dil se
shab-e-ġham na yuuñ Thahartī jo mujhe qarār hotā
vo jahāñ meñ aag lagtī ki bujhā.e se na bujhtī
mire dūd-e-dil meñ 'sāqib' jo koī sharār hotā