Suhail Sani

kisi ki yaad mein shaMein jalana bhul jata hai

Suhail Sani

Lahore, Punjab, Pakistan

1979
kisī kī yaad meñ sham.eñ jalānā bhuul jaatā hai
koī kitnā hī pyārā ho zamāna bhuul jaatā hai
kisī din be-niyāzī us kī mujh ko maar Dālegī
ḳhafā kartā hai vo lekin manānā bhuul jaatā hai
ruḳh-e-raushan pe zulfoñ kā ye girnā jān-levā hai
aur us par ye sitam dilbar haTānā bhuul jaatā hai
agar hai bhūlnā mujh ko kisī se pyaar kar lenā
nayā bantā hai jab rishta purānā bhuul jaatā hai
isī baa.is maiñ siine se use uḌne nahīñ detā
ye dil aisā parinda hai Thikānā bhuul jaatā hai
hameñ hai vasl kī ḳhvāhish magar ye kaam duniyā ke
maiñ jaanā bhuul jaatā huuñ vo aanā bhuul jaatā hai
kisī se kyā karūñ shikva mile haiñ zaḳhm hī aise
ki jin par vaqt bhī marham lagānā bhuul jaatā hai
koī aaseb hai shāyad tumhāre shahr meñ 'sānī'
yahāñ pe rahne vaalā muskurānā bhuul jaatā hai
Top Urdushayar.com